Raghunath Sahai

aaj phir saqi-e-gulfam se baaten hongi

Raghunath Sahai

1914
aaj phir sāqī-e-gulfām se bāteñ hoñgī
mai-gusāroñ kī mai-o-jām se bāteñ hoñgī
phir tire āriz-o-gesū ke nazāre hoñge
phir na.ī sub.h na.ī shaam se bāteñ hoñgī
ho chukīñ aish-o-masarrat se bahut kuchh bāteñ
hoñgī ab to ġham-o-ālām se bāteñ hoñgī
umr-bhar khā.eñge ham vāda-e-fardā kā fareb
umr-bhar hasrat-e-nākām se bāteñ hoñgī
hogī ḳhalvat meñ bhī haa.il na ḳhamoshī mujh ko
naqsh-e-dīvār-o-dar-o-bām se bāteñ hoñgī
gardish-e-jām se lab hoñge mire mahv-e-kalām
jab mirī gardish-e-ayyām se bāteñ hoñgī
murġh-e-dil zauq-e-asīrī pe hai maa.il 'ummīd'
kis kī zulfoñ ke hasīñ daam se bāteñ hoñgī
Top Urdushayar.com