ye na pūchho tum ḳhudārā ki mirā makāñ kahāñ hai
jise aag dī hai tum ne vahī merā āshiyāñ hai
tumheñ kyā sunā.ūñ ab maiñ ġham-e-ishq kā fasāna
vahī qissa-e-alam hai vahī ġham kī dāstāñ he
mujhe raushnī milegī rah-e-zīst meñ usī se
tirā naqsh-e-pā hai jānāñ ki charāg-e-kārvāñ hai
mirī har nishāt-o-ġham ko tirī zaat se hai nisbat
tū jo aa.e to bahārāñ tū na aa.e to ḳhizāñ hai
vo bahār-e-sub.h-e-raushan ye añdhere shām-e-ġham ke
vo to un kī thī kahānī ye hamārī dāstāñ hai
vahī zindagī kā lamha ki jo tere saath guzrā
vahī muḳhtasar sā lamha mirī umr-e-jāvedāñ hai
nahīñ kuchh samajh meñ aatā ki 'umīd' ko huā kyā
na hai lab pe harf-e-shikva na zabāñ pe ab fuġhāñ hai