Raghunath Sahai

jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera

Raghunath Sahai

1914
jab na shīsha hai na sāġhar hai na paimāna mirā
kis tarah kah duuñ ye mai-ḳhāna hai mai-ḳhāna mirā
chhup sakegā baaġh meñ kyūñkar mirī vahshat kā haal
patte patte kī zabāñ kahtī hai afsāna mirā
haiñ makīñ ab bhī dil-e-mahzūñ meñ lākhoñ hasrateñ
ḳhair se hai aaj bhī ābād vīrāna mirā
ho bhalā kyūñkar ayaañ merī haqīqat aap par
aap aksar ġhair se sunte haiñ afsāna mirā
sāqiyā ho is taraf bhī ik ināyat kī nazar
tak rahā hai tujh ko kis hasrat se paimāna mirā
maiñ tirā mamnūn huuñ ai sho.ala-e-barq-e-tapāñ
tere dam se ho gayā pur-nūr kāshāna mirā
dostoñ kī baat kyā hai dost to phir dost the
dushmanoñ se bhī rahā 'ummīd' yārāna mirā
Top Urdushayar.com