Raghunath Sahai

kaise kahun safine ko sailab le gaya

Raghunath Sahai

1914
kaise kahūñ safīne ko sailāb le gayā
merā nasīb thā jo tah-e-āb le gayā
ik jān-e-ārzū kī tamannā-e-dīd meñ
jaane kahāñ kahāñ dil-e-betāb le gayā
mātam-kunāñ hai shāḳh fazā-e-chaman udaas
ye kaun toḌ kar gul-e-shādāb le gayā
goyā matā-e-dil hī thī merī matā-e-zīst
dil le ke koī ziist ke asbāb le gayā
sūrat dikhā ke ḳhvāb meñ ik aan ke liye
ye kaun zindagī ke hasīñ ḳhvāb le gayā
dil kā qarār dil kā sukūñ dil kī rāhateñ
ye kaun merī ziist ke asbāb le gayā
rindān-e-lucknow ke liye tohfa-e-'umīd'
saaqī sharāb-e-ulfat-e-ahbāb le gayā
Top Urdushayar.com