Raghunath Sahai

rumuz-e-gham se begane KHushi ka raaz kya jaanen

Raghunath Sahai

1914
rumūz-e-ġham se begāne ḳhushī kā raaz kyā jāneñ
qazā se Darne vaale zindagī kā raaz kyā jāneñ
khulā jin par na rāz-e-girya-e-shabnam gulistāñ meñ
vo nādāñ ġhuncha-o-gul kī hañsī kā raaz kyā jāneñ
hañsī aatī hai ham ko hazrat-e-vā.iz kī bātoñ par
jo ḳhud mai-kash nahīñ vo mai-kashī kā raaz kyā jāneñ
jo ho ke rah ga.e ġham roz-e-raushan ke ujāloñ meñ
shab-e-ġham kī bhayānak tīrgī kā raaz kyā jāneñ
batā.eñge bhalā kyā ḳhizar ham ko raah manzil kī
vo ḳhud gum-karda-rah haiñ rahbarī kā raaz kyā jāneñ
butān-e-fitna-jū se kyā tavaqqo.a āshnā.ī kī
bhalā ye dushman-e-jāñ dostī kā raaz kyā jāneñ
koī aarif hī ai 'ummīd' use samjhe agar samjhe
ye farzāne mirī dīvāngī kā raaz kyā jāneñ
Top Urdushayar.com