Raghunath Sahai

ghafil teri nazar hi se parda uTha na tha

Raghunath Sahai

1914
ġhāfil tirī nazar hī se parda uThā na thā
varna vo kis maqām pe jalva-numā na thā
raushan charāġh-e-ishq ne kī manzil-e-hayāt
varna vo tīrgī thī ki kuchh sūjhtā na thā
maqsūd ek tere hī dar kī thī justujū
dair-o-haram se mujh ko koī vāsta na thā
āvāz de rahe the jise be-ḳhudī meñ ham
dekhā to vo hameñ the koī dūsrā na thā
vo to shikāyat apnī vafāoñ kī thī huzūr
kuchh aap kī jafāoñ kā shikva-gila na thā
maanā ki duur thā to nigāhoñ se ai karīm
lekin tirā ḳhayāl to dil se judā na thā
ham aap apnī manzil-e-maqsūd the 'umīd'
jaate kahāñ ki ḳhud se pare rāsta na thā
Top Urdushayar.com