kidhar ravāñ hai mirā kārvāñ nahīñ ma.alūm
nasīb le ke chalā hai kahāñ nahīñ ma.alūm
hamārā ḳhirman-e-dil bhī to jal chukā yārab
giregī ab kahāñ barq-e-tapāñ nahīñ ma.alūm
bas ik nigāh-e-mohabbat se un ko dekhā thā
haiñ mujh se kis liye vo bad-gumāñ nahīñ ma.alūm
bane haiñ aaj vahī muntazim gulistāñ ke
ki jin ko farq-e-bahār-o-ḳhizāñ nahīñ ma.alūm
adū thī barq na dushman thā bāġhbāñ apnā
jalāyā kis ne mirā āshiyāñ nahīñ ma.alūm
bahār mujh se hai maiñ pāsbān-e-gulshan huuñ
mirā maqām tujhe bāġhbāñ nahīñ ma.alūm
dil-e-'umīd' bhī thā jis ke saath saath ravāñ
kahāñ pe luT gayā vo kārvāñ nahīñ ma.alūm