pahchān zindagī kī samajh kar maiñ chup rahā
apne hī pheñkte rahe patthar maiñ chup rahā
lamhe añdhere dasht meñ piite rahe mujhe
mujh meñ thā raushnī kā samundar maiñ chup rahā
mere lahū ke rañg kā aisā asar huā
munsif se boltā rahā ḳhanjar maiñ chup rahā
bojhal udaas raat thī ḳhāmosh thī havā
phūloñ kī aag meñ jalā bistar maiñ chup rahā
'asrār' kyuuñ kisī se maiñ kartā shikāyateñ
vo āḳhirī thā raah kā patthar maiñ chup rahā