Shuja Khaavar

barpa tere visal ka tufan ho chuka

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
barpā tire visāl kā tūfān ho chukā
dil meñ jo baaġh thā vo bayābān ho chukā
paidā vajūd meñ har ik imkān ho chukā
aur maiñ bhī soch soch ke hairān ho chukā
pahle ḳhayāl sab kā thā ab apnī fikr hai
dāman kahāñ rahā jo garebān ho chukā
tum hī ne to ye dard diyā hai janāb-e-man
tum se hamāre dard kā darmān ho chukā
jo jashn-vashn hai vo hisār-e-havas meñ hai
ye aarzū kā shahr to vīrān ho chukā
auroñ se pūchhiye to haqīqat pata chale
tanhā.ī meñ to zaat kā irfān ho chukā
ik shahryār shahr-e-havas ko bhī chāhiye
aur maiñ bhī āshiqī se pareshān ho chukā
kitne maze kī baat hai aatī nahīñ hai iid
hālāñki ḳhatm arsa-e-ramazān ho chukā
mausam ḳhizāñ kā raas kab aayā hameñ 'shujā.a'
jab āmad-e-bahār kā elaan ho chukā
Top Urdushayar.com