Asrar Akbarabadi

do-jahan ke husn ka arman aadha rah gaya

Asrar Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1938
do-jahāñ ke husn kā armān aadhā rah gayā
is sadī ke shor meñ insān aadhā rah gayā
har ibādat-gāh se ūñchī haiñ mil kī chimniyāñ
shahr meñ har shaḳhs kā īmān aadhā rah gayā
maiñ to ghabrāyā huā thā ye bahut achchhā huā
yaad un kī aa ga.ī tūfān aadhā rah gayā
phuul mahke rañg chhalke jhiil par ham tum mile
baat hai ye ḳhvāb kī rūmān aadhā rah gayā
tum ko aanā thā nahīñ aa.e kaho maiñ kyā karūñ
āsmāñ par chāñd sā mehmān aadhā rah gayā
kyuuñ hai itnī tez-rau batlā mirī umr-e-ravāñ
zindagī kī raah kā sāmān aadhā rah gayā
muḳhtasar sā likh diyā 'asrār' ne un ko javāb
ḳhat milā par aap kā ehsān aadhā rah gayā
Top Urdushayar.com