fan asl meñ pinhāñ hai dil-e-zār ke andar
fankār hai ik aur bhī fankār ke andar
kāñToñ pe bichhātā hai gulāboñ kā bichhaunā
do rañg haiñ ik saath mire yaar ke andar
vo shor thā mahfil meñ koī sun nahīñ paayā
ik chīḳh thī pāzeb kī jhankār ke andar
tum sach kī zīnat the mujhe dekhte kaise
maiñ bhī thā na.ī sub.h ke aḳhbār ke andar
'asrār' mujhe dil ne ye kal raat batāyā
sho.ala huuñ bulandī kā maiñ ik ḳhaar ke andar