kalī par muskurāhaT aaj bhī ma.alūm hotī hai
magar bīmār hoñToñ par hañsī ma.alūm hotī hai
asīrī kī ḳhushī kis ko ḳhushī ma.alūm hotī hai
charāġhāñ ho rahā hai tīrgī ma.alūm hotī hai
ba-zāhir rū-e-gul par tāzgī ma.alūm hotī hai
magar barbād chehre kī ḳhushī ma.alūm hotī hai
nasīm-e-sub.h tū kyā sone vāloñ ko jagā.egī
abhī to sub.h ḳhud soī huī ma.alūm hotī hai
chaman kā lutf khotā hai chaman meñ ajnabī honā
ḳhizāñ bhī apne gulshan kī bhalī ma.alūm hotī hai
tujhe ham dopahar kī dhuup meñ dekheñge ai ġhunche
abhī shabnam ke rone par hañsī ma.alūm hotī hai
chalīñ garm āñdhiyāñ sūraj bhī chamkā ḳhāk-e-maqtal par
vahī ḳhūn-e-shahīdāñ kī namī ma.alūm hotī hai
zarā ai mai-kasho anjām-e-mahfil par nazar rakhnā
ki daur-e-āḳhirī meñ niiñd sī ma.alūm hotī hai
mah o anjum ke ḳhāliq kuchh na.e taare farozāñ kar
ki phir āfāq meñ be-raunaqī ma.alūm hotī hai
samundar bhī hai dariyā bhī hai chashme bhī haiñ nahreñ bhī
aur insāñ hai ki ab tak tishnagī ma.alūm hotī hai
zamāne kī taraqqī tishna-e-takmīl hai yā rab
abhī ik mard-e-momin kī kamī ma.alūm hotī hai
na jaao dekh lo sham-e-sahar kā jhilmilānā bhī
ye mahfil kī bahār-e-āḳhirī ma.alūm hotī hai
to phir karnā hī paḌtā hai vahāñ iqrār qudrat kā
jahāñ insān ko apnī kamī ma.alūm hotī hai
mirī ik aah par jo phuul dāman chaak karte the
ab un ko mere nāloñ par hañsī ma.alūm hotī hai
ba-zāhir chashm-e-sāqī mahv-e-ḳhvāb-e-nāz hai lekin
javāb-e-nargis-e-bedār bhī ma.alūm hotī hai
hamesha ḳhush rahe un kī nigāhoñ kī masīhā.ī
ab apnī zindagī bhī zindagī ma.alūm hotī hai
mohabbat hai zarūr un se magar merī matānat ko
na jaane kyuuñ ye nisbat bhī burī ma.alūm hotī hai
'shafīq' āsār haiñ mashriq kī jānib taaza kirnoñ ke
ye merī shām-e-nau kī chāñdnī ma.alūm hotī hai