zindagī tujh se hameñ ab koī shikva hī nahīñ
ab to vo haal hai jiine kī tamannā hī nahīñ
intihā ishq kī hai ā.ina-e-dil pe mire
mā-sivā us ke koī aks ubhartā hī nahīñ
mere afkār ko detī hai jilā us kī jafā
ġham na hote to ye qirtās sañvartā hī nahīñ
mujh ko haq baat ke kahne meñ ta.ammul kyuuñ ho
maiñ vo dīvāna huuñ jo daar se Dartā hī nahīñ
ham ki ḳhvāboñ se bahal jaate the lekin afsos
jāgtī āñkhoñ se to ḳhvāb kā rishta hī nahīñ
maiñ ki sūraj hū idhar Duubā udhar ubharūñgā
maiñ vo tairāk nahīñ huuñ jo ubhartā hī nahīñ
vaqt ke saath badalne lagā har ik 'shafīq'
jaise ab mujh se kisī kā koī rishta hī nahīñ