koī TuuTī huī kashtī kā taḳhta bhī agar hai lā
abhī sāhil pe hai to aur pesh-az-marg vāvailā
añdherī raat se Dartā hai mīr-e-kārvāñ ho ke
añdherā hai to apne dāġh-e-dil kī raushnī phailā
na ghabrā tīrgī se tū qasam hai sañg-e-asvad kī
ki tārīkī hī meñ soī hai shām-e-gesū-e-lailā
mazāq-e-shādī-o-ġham tā-kujā ai ḳhaak ke putle
jo in donoñ se bālā-tar hoñ aisī bhī koī shai lā
sharāb-e-asr-e-nau meñ be-ḳhudī hai nai ḳhudī saaqī
jo tū ne aaj se pahle pilā.ī thī vahī mai lā
man andāz-e-qadat-rā mī shanāsam mard-e-afrañgī
ki kapḌe saaf haiñ lekin badan nāpāk dil mailā
kisī kā nāz-e-husn aur ai 'shafīq' apnā ye kah denā
ki qīmat meñ agar dil ke barābar ho koī shai lā