yuuñ tasavvur meñ basar raat kiyā karte the
lab na khulte the magar baat kiyā karte the
haa.e vo raat ki sotī thī ḳhudā.ī saarī
ham kisī dar pe munājāt kiyā karte the
yaad hai bandagi-e-ahl-e-mohabbat jis par
aap bhī faḳhr o mabāhāt kiyā karte the
ham kabhī mo'takif-e-kunj-e-haram ho kar bhī
sajda-e-pīr-e-ḳharābāt kiyā karte the
yaad kartā hai usī ahd-e-guzishta ko 'shafīq'
jab tum altāf o ināyāt kiyā karte the