mausam-e-gul hai na daur-e-jām-o-sahba rah gayā
le ga.ī sab ko javānī maiñ akelā rah gayā
jaane kyā ho kar nigāhoñ se ishāra rah gayā
haa.e ḳhūn-e-ārzū jab hal ke pardā rah gayā
ishq kī rusvā.iyāñ vo husn kī bad-nāmiyāñ
ham bhulā baiThe magar duniyā meñ charchā rah gayā
ik sarāpā nāz-e-tanhā.ī mazār-e-āshiqāñ
haa.e vo aalam ki jab ḳhud husn tanhā rah gayā
ro.ab-e-husn ādāb-e-ishq un kī hayā kā ehtirām
uTh ga.ī chilman to ab pardā hī pardā rah gayā
kuchh baḌhānā thā mazāq-e-bandagī kā hausla
pher lī tū ne nazar sharmā ke sajda rah gayā
in ke jalvoñ ne hazāroñ ko navāzā ai 'shafīq'
aah apnī be zabāñ nazroñ ko shikvā rah gayā