Shafiq Jaunpuri

parda paDa hua tha KHudi ne uTha diya

Shafiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1903-1963
parda paḌā huā thā ḳhudī ne uThā diyā
apnī hī ma.arifat ne tumhārā pata diyā
dar dar kī Thokaroñ ne sharaf ko miTā diyā
qudrat ne kyuuñ ġharīb ko insāñ banā diyā
apne vajūd kā bhī to koī subūt ho
maiñ thā kahāñ ki mujh ko kisī ne miTā diyā
allāh re jab.ha sā.i-e-ḳhāk-e-harīm-e-dost
bande ko banda sajde ko sajda banā diyā
his murda thī hayāt-e-musalsal meñ ziist kī
taḳhrīb-e-zindagī ne payām-e-baqā diyā
phir us ke ghar meñ ho na sakī raushnī kabhī
jis kā charāġh tū ne jalā kar bujhā diyā
koī ḳhushī ḳhushī nahīñ apne liye 'shafīq'
kis kī nigāh ne sabaq-e-ġham paḌhā diyā
Top Urdushayar.com