Shafiq Jaunpuri

aisi nind aai ki phir maut ko pyar aa hi gaya

Shafiq Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1903-1963
aisī niiñd aa.ī ki phir maut ko pyaar aa hī gayā
raat bhar jāgne vaale ko qarār aa hī gayā
ḳhaak meñ yuuñ na milānā thā mirī jaañ tum ko
ik vafādār ke dil meñ bhī ġhubār aa hī gayā
yād-e-gesū ne tasallī to bahut dī lekin
sāmne raat ma.āl-e-dil-e-zār aa hī gayā
kushta-e-nāz kī mayyat pe na aane vaalā
phuul dāman meñ liye sū-e-mazār aa hī gayā
ye bayābāñ ye shab-e-māh ye ḳhunkī ye havā
ai ḳhizāñ tujh ko bhī andāz-e-bahār aa hī gayā
āfrīñ ashk-e-nadāmat kī daraḳhshānī ko
ik siyahkār ke chehre pe nikhār aa hī gayā
bād-e-manzil bhī na mahsūs huā mujh ko 'shafīq'
marhabā salle-alā kūcha-e-yār aa hī gayā
Top Urdushayar.com