Humaira Gul Tishna

aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye

Humaira Gul Tishna

Pakistan

ārzū-e-dil kā ye anjām honā chāhiye
kyā mujhe bhī ishq meñ nākām honā chāhiye
kyuuñ bhalā iblīs ko ilzām dete ho faqat
tum ko ḳhair-o-shar kā bhī ilhām honā chāhiye
baap kī dastār becheñ bahan kī khīñcheñ ridā
mard kī ġhairat pe ab nīlām honā chāhiye
matlabī duniyā meñ hai gum ibn-e-ādam is qadar
kaam honā chāhiye bas kaam honā chāhiye
DhūñDne se gar nahīñ miltā ḳhudā phir DhūñDhiye
sub.h us kī justujū meñ shaam honā chāhiye
gar nasīboñ meñ nahīñ vo shaḳhs likhā ai ḳhudā
kuchh duāoñ kā mirī in.aam honā chāhiye
ishq kī me.arāj ho ai kaash aisā mo.ajiza
naam koī le vo merā naam honā chāhiye
gar tujhe banñā hai 'tishna' shā.era ik be-badal
tere har ik sher meñ ib.hām honā chāhiye
Top Urdushayar.com