be-dam hue yuuñ ho ke giraftār-e-mohabbat
kahtā hai masīhā ki huuñ bīmār-e-mohabbat
rotā hai shab-e-hijr meñ dil ḳhuun ke aañsū
miltā nahīñ koī use ġham-ḳhvār-e-mohabbat
in husn kī galiyoñ meñ ḳharīdār bahut haiñ
lagtā hai shab-o-roz ye bāzār-e-mohabbat
alfāz haiñ ḳhanjar to bujhā zahr meñ lahja
aise meñ bhalā kaise ho iqrār-e-mohabbat
ab ishq hai rusvā to bigaḌtā hai tirā kyā
be-kār meñ kartā hai tū paikār-e-mohabbat
miT jā.eñge ham un ko ḳhabar tak nahīñ hogī
ye soch ke karnā paḌā iz.hār-e-mohabbat
ab dekheñ vahāñ kaun lagā.e na.ī bolī
aate haiñ jahāñ roz ḳharīdār-e-mohabbat
tanhā.ī meñ sochā tujhe jaanā tujhe samjhā
phir khulne lage ham pe bhī asrār-e-mohabbat
'tishna' se kareñ log mohabbat kī jo bāteñ
kaise maiñ batā.ūñ ki huuñ be-zār-e-mohabbat