is safar meñ nīm-jāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
aur zer-e-sā.ebāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
zahr meñ Duubī huī parchhā.iyoñ kā raqs hai
ḳhud se vābasta yahāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
nā-tamāmī ke sharar meñ roz o shab jalte rahe
sach to ye hai be-zabāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
zard lafzoñ ke dhundalke shaam kī āñkhoñ meñ haiñ
garche zeb-e-dāstāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
nā-tavāñ jismoñ pe kyuuñ hai gardishoñ kā mor-nāch
shab-gazīda āsmāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
be-asar ho jaa.e jis se dil kā zaḳhm-e-ātishīñ
marham-e-vahm-o-gumāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
shab kī gahrī ḳhāmushī bhī gosh-bar-āvāz hai
āhaToñ kā kārvāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
ehtiyātoñ kī guzargāheñ to pīchhe rah ga.iiñ
ab sadā-e-mehrbāñ maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ