Ashar Najmi

mere uske darmiyan ye fasla apni jagah hai

Ashar Najmi

Jamshedpur, Jharkhand, India

1960
mere us ke darmiyāñ ye fāsla apnī jagah hai
āhaToñ aur dastakoñ kā silsila apnī jagah hai
sīna-e-āvāz meñ hai barf kī talvār gum
be-sadā gumbad kā lekin mas.ala apnī jagah hai
maiñ chamaktī ret kī aTkheliyoñ kā huuñ asiir
eḌiyoñ kā iztirābī mashġhala apnī jagah hai
ḳhud-farebī kā bharam TuuTā chalo achchhā huā
ūñghtī bedāriyoñ kā marhala apnī jagah hai
Top Urdushayar.com