samajhte kyā haiñ in do chaar rañgoñ ko udhar vaale
tarañg aa.ī to manzar hī badal deñge nazar vaale
isī par ḳhush haiñ ki ik dūsre ke saath rahte haiñ
abhī tanhā.ī kā matlab nahīñ samjhe haiñ ghar vaale
sitam ke vaar haiñ to kyā qalam ke dhaar bhī to haiñ
guzāra ḳhuub kar lete haiñ izzat se hunar vaale
koī sūrat nikaltī hī nahīñ hai baat hone kī
vahāñ zo.am-e-ḳhudā-vandī yahāñ jazbe bashar vaale
mafā.īlun kā paimāna bahut hī tañg hotā hai
jabhī to sher ham kahte nahīñ haiñ dil jigar vaale
gharoñ meñ the to vus.at dasht kī ham ko bulātī thī
magar ab dasht meñ aa.e to yaad aate haiñ ghar vaale
jo mustaqbil se pur-ummīd ho vo shā.er-e-mutlaq
'shujā-ḳhāvar' se apnī fikr kī islāh karvā le