shāyad mirī nigāh meñ koī shigāf thā
varna udaas raat kā chehrā to saaf thā
ik laash tairtī rahī barfīlī jhiil meñ
jhūTī tasalliyoñ kā amiiñ zer-e-nāf thā
bosoñ kī raakh meñ the sulagte sharār-e-lams
chehre kī silvaToñ meñ koī inkishāf thā
dozaḳh ke gird gūñge farishte the mahv-e-raqs
aur pisliyoñ kī Tiis pe mailā ġhilāf thā
khiḌkī se jhāñktā huā vo pur-ġhurūr sar
taaza havā se us kā koī iḳhtilāf thā
raste farār ke sabhī masdūd to na the
apnī shikast kā mujhe kyuuñ e'tirāf thā