Ashar Najmi

inkishaf-e-zat ke aage dhuan hai aur bas

Ashar Najmi

Jamshedpur, Jharkhand, India

1960
inkishāf-e-zāt ke aage dhuāñ hai aur bas
ek tū hai ek maiñ huuñ āsmāñ hai aur bas
ā.īna-ḳhānoñ meñ raqsinda rumūz-e-āgahī
os meñ bhīgā huā merā gumāñ hai aur bas
canvas par hai ye kis kā paikar-e-harf-o-sadā
ik numūd-e-ārzū jo be-nishāñ hai aur bas
hairatoñ kī sab se pahlī saf meñ ḳhud maiñ bhī to huuñ
jaane kyuuñ har ek manzar be-zabāñ hai aur bas
ajnabī lams-e-badan kī reñgtī haiñ chyūñTiyāñ
kuchh nahīñ hai sā.at-e-mauj-e-ravāñ hai aur bas
Top Urdushayar.com