Ashar Najmi

tere badan ki dhup se mahrum kab hua

Ashar Najmi

Jamshedpur, Jharkhand, India

1960
tere badan kī dhuup se mahrūm kab huā
lekin ye isti.āra bhī manzūm kab huā
vāqif kahāñ the raat kī sargoshiyoñ se ham
bistar kī silvaToñ se bhī mālūm kab huā
shāḳh-e-badan se saare parinde to uḌ ga.e
sajda tire ḳhayāl kā maqsūm kab huā
sunsān jañgaloñ meñ hai maujūdgī kī lau
lekin vo ek rāsta mādūm kab huā
nisbat mujhe kahāñ rahī asr-e-zavāl se
merā vajūd saltanat-e-rūm kab huā
Top Urdushayar.com