andhere meñ tajassus kā taqāzā chhoḌ jaanā hai
kisī din ḳhāmushī meñ ḳhud ko tanhā chhoḌ jaanā hai
samundar hai magar vo chāhtā hai Dūbnā mujh meñ
mujhe bhī us kī ḳhātir ye kināra chhoḌ jaanā hai
bahut ḳhush huuñ maiñ sāhil par chamaktī sīpiyāñ chun kar
magar mujh ko to ik din ye ḳhazāna chhoḌ jaanā hai
tulū-e-sub.h kī aahaT se lashkar jaag jā.egā
chalā jaa.e abhī vo jis ko ḳhema chhoḌ jaanā hai
na jaane kab koī aa kar mirī takmīl kar jaa.e
isī ummīd pe ḳhud ko adhūrā chhoḌ jaanā hai
kahāñ tak ḳhaak kā paikar liye phirtā rahūñgā maiñ
use bārish ke mausam meñ nihattā chhoḌ jaanā hai