rafta rafta ḳhatm qissa ho gayā honā hī thā
vo bhī āḳhir mere jaisā ho gayā honā hī thā
dasht-e-imkāñ meñ ye merā mashġhala bhī ḳhuub hai
rauzan-e-dīvār chehrā ho gayā honā hī thā
Dūbtā sūraj tumhārī yaad vāpas kar gayā
shaam aa.ī zaḳhm taaza ho gayā honā hī thā
ahd-e-zabt-e-ġham pe qaa.im thā dam-e-ruḳhsat magar
vo sukūt-e-jāñ bhī dariyā ho gayā honā hī thā
ab tū hī ye fāsla tai kar sake to kar bhī le
maiñ to ḳhud apnā hī ziina ho gayā honā hī thā
maiñ ne bhī parchhā.iyoñ ke shahr kī phir raah lī
aur vo bhī apne ghar kā ho gayā honā hī thā