sukūt-e-shab ke hāthoñ sauñp kar vāpas bulātā hai
mirī āvārgī ko merā ghar vāpas bulātā hai
maiñ jab bhī dā.eroñ ko toḌ kar bāhar nikaltā huuñ
havā ke nā-tavāñ jhoñke kā Dar vāpas bulātā hai
usī ke hukm par us ko maiñ tanhā chhoḌ aayā thā
ḳhudā jaane mujhe vo kyuuñ magar vāpas bulātā hai
ishāre kar rahā hai dūriyoñ kā khaultā sāgar
mujhe har shaam ik andhā safar vāpas bulātā hai
vo jin kī hijratoñ ke aaj bhī kuchh daaġh raushan haiñ
unhī bichhḌe parindoñ ko shajar vāpas bulātā hai
sulagtī sā.atoñ kā ḳhauf ab kamzor hai shāyad
vahī sahmā huā dast-e-hunar vāpas bulātā hai