chehre pe thoḌī rakkhī hai
dil meñ betābī rakkhī hai
ik do din se jiine vaalo
ham ne kaafī jī rakkhī hai
dil ke shajar ne kis mehnat se
ik ik shāḳh harī rakkhī hai
vasl huā par dil meñ tamannā
jaisī thī vaisī rakkhī hai
ġhair kī kyā rakkhegā ye darbāñ
zālim ne kis kī rakkhī hai
havas meñ kuchh bhī kar sakte ho
ishq meñ pābandī rakkhī hai
rind khaḌe haiñ mimbar mimbar
aur vaa.iz ne pī rakkhī hai
raakh qalandar kī le jaao
aag kahāñ baaqī rakkhī hai
ik to bātūnī hai 'ḳhāvar'
uupar se pī bhī rakkhī hai