Seema Shakeb

nazar mein arsh-e-barin hai kisi ko kya malum

Seema Shakeb

nazar meñ arsh-e-barīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
kahāñ ye ḳhāk-nashīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
tamām hech hai duniyā alā.eq-e-duniyā
jo naqsh zeb-e-jabīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
tumheñ ḳhabar hī nahīñ kyā hai virsa-e-darvesh
jahān-e-zer-e-nagīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
bilā sabab to ye larzish huā nahīñ kartī
jo aag zer-e-zamīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
na dar khulā na darīche kabhī khule dekhe
makāñ meñ kaun makīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
vo ek lafz jo utrā na zīna-e-lab se
hameñ usī kā yaqīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
payāmbar kī zarūrat na sharh-e-dil kā ḳhayāl
vo kis kā balā zahīñ hai kisī ko kyā ma.alūm
Top Urdushayar.com