Ateeq Anzar

sulagti ret ki qismat mein dariya likh diya jae

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
sulagtī ret kī qismat meñ dariyā likh diyā jaa.e
mujhe in jhiil sī āñkhoñ meñ rahnā likh diyā jaa.e
tirī zulfoñ ke saa.e meñ agar jī luuñ maiñ pal-do-pal
na ho phir ġham jo mere naam sahrā likh diyā jaa.e
mirā aur us kā milnā ab to nā-mumkin sā lagtā hai
use sūraj mujhe shab kā sitārā likh diyā jaa.e
akelā maiñ hī kyuuñ āḳhir sajā.ūñ palkoñ pe taare
kabhī us kī bhī palkoñ pe sitārā likh diyā jaa.e
mujhe chhoḌā hai taptī dhuup meñ jis shaḳhs ne tanhā
use bhī ġham kī duniyā meñ akelā likh diyā jaa.e
jo shab-ḳhūñ mārtā hai merī bastī ke ujāloñ par
muqaddar us ke bhī ghar kā añdherā likh diyā jaa.e
kahīñ bujhtī hai dil kī pyaas ik do ghūñT se 'anzar'
maiñ sūraj huuñ mire hisse meñ dariyā likh diyā jaa.e
Top Urdushayar.com