din ke paas kahāñ jo ham rātoñ meñ maal banāte haiñ
bad-hāloñ ko ḳhvāb hī shab bhar ko ḳhush-hāl banāte haiñ
us ko tasavvur tak laane meñ aap hī kho jaate haiñ ham
ḳhud hī phañs jaate haiñ ham aur ḳhud hī jaal banāte haiñ
adab ke bāzāroñ meñ in sheroñ kī qīmat kyā ma.alūm
ham to ḳhālī kārī-gar haiñ ham to maal banāte haiñ
maah o saal ke mālik lamhoñ se bhī rahte haiñ mahrūm
ham ko dekho lamhoñ se bhī maah o saal banāte haiñ
hijr meñ sochā thā ab dil ko pakkā kar leñge lekin
vasl ke va.ade dil ke aahan ko sayyāl banāte haiñ