Ateeq Anzar

baad muddat mile kuchh kaha na suna bhar gae zaKHm purwaiyan so gain

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
ba.ad muddat mile kuchh kahā na sunā bhar ga.e zaḳhm purvā.iyāñ so ga.iiñ
kañghī kartī huī reshmī zulf meñ merī betāb sī uñgliyāñ so ga.iiñ
aaj alhaḌ pujāran vo aa.ī nahīñ dil ke mandir meñ ghanTī bajā.ī nahīñ
aas ke sab diye TimTimāne lage mere jazbāt kī ghanTiyāñ so ga.iiñ
ab fazāoñ meñ ḳhushbū mahaktī nahīñ ab vo pāgal havā.eñ thiraktī nahīñ
ek to kar ga.ī kyā akelā mujhe lahlahātī huī vādiyāñ so ga.iiñ
us ke hāthoñ meñ chūḌī khanaktī nahīñ us ke pairoñ meñ paa.el jhanaktī nahīñ
chhoḌ dī maiñ ne jab se galī pyaar kī us ke kānoñ kī bhī bāliyāñ so ga.iiñ
ik nadī ke kināre base gaañv meñ guzrā bachpan mirā chāñd kī chhāñv meñ
ham baḌe jab hue ajnabī ho ga.e dil ke mandir kī sab deviyāñ so ga.iiñ
ghaaT dil kā mire aaj sunsān hai koī gopī nahāne ab aatī nahīñ
merī murlī kī dhun ab larazne lagī mere madhūban kī sab gopiyāñ so ga.iiñ
aam ke peḌ shādāb haiñ aaj bhī baurte aur phalte bhī haiñ vo magar
ab vo jhūle kahāñ ab vo kajrī kahāñ vo lachaktī huī Dāliyāñ so ga.iiñ
Top Urdushayar.com