Ateeq Anzar

meri zindagi kisi moD par kabhi aansuon se wafa na de

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
mirī zindagī kisī moḌ par kabhī āñsuoñ se vafā na de
tirī aañkh kī ye ghaTā kahīñ yuuñ baras ke mujh ko rulā na de
vahī chhāñv niim ke peḌ kī vahī shaam de ye fazā na de
ga.e mausamoñ kā asiir huuñ na.e mausamoñ kī sazā na de
mire nāḳhudā tirā shukriya koī aur mujh pe karam na kar
tirī maslahat kī havā kahīñ mirā bādbān uḌā na de
mire ḳhat ko le ke ḳhushī se vo ka.ī baar chūmegī tū magar
mujhe Dar hai bhīgā vo lafz ik mire ġham kā qissa sunā na de
vahī jis ke pyaar kī aag ne mire ḳhadd-o-ḳhāl jhulas diye
mujhe Dar hai ab mujhe dekh ke vo nazar se apnī girā na de
tirī shoḳh āñkhoñ meñ bārhā ka.ī ḳhvāb dekhe haiñ pyaar ke
tirā pyaar merā nasīb hai kisī aur ko ye vafā na de
Top Urdushayar.com