Ateeq Anzar

jism ke gharaunde mein aag shor karti hai

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
jism ke gharauñde meñ aag shor kartī hai
dil meñ jab mohabbat kī chāñdnī utartī hai
shaam ke dhuñdlakoñ meñ Dūbtā hai yuuñ sūraj
jaise aarzū koī mere dil meñ martī hai
din meñ ek miltī hai aur dūsrī shab meñ
dhuup jab bichhaḌtī hai chāñdnī sañvartī hai
bāġhbāñ ne rokā yā le gayā use bādal
baat kyā huī ḳhushbū itnī der kartī hai
ġham kī band muTThī meñ ret sā mirā jīvan
jab zarā kasī muTThī zindagī bikhartī hai
gaañv ke parind tum ko kyā patā bidesoñ meñ
raat ham akeloñ kī kis tarah guzartī hai
duur mujh se rahte haiñ saare ġham zamāne ke
terī yaad kī ḳhushbū dil meñ jab Thahartī hai
Top Urdushayar.com