Ateeq Anzar

phul par os hai aariz pe nami ho jaise

Ateeq Anzar

Banaras, Uttar pradesh, India

1963
phuul par os hai aariz pe namī ho jaise
us ke chehre pe mirī aañkh dharī ho jaise
us kī palkoñ pe rakhūñ hoñT to yuuñ jalte haiñ
us ke siine meñ kahīñ aag lagī ho jaise
jhiil ke hoñT pe sūraj kī kiran lahrā.ī
mere mahbūb ke hoñToñ pe hañsī ho jaise
ab bhī rah rah ke mire dil meñ sisaktā hai koī
us meñ mūrat koī bachpan kī chhupī ho jaise
ḳhat meñ is tarah vo tādīb mujhe kartī hai
umr meñ mujh se ka.ī saal baḌī ho jaise
mere bachpan kī pujāran ne mujhe yuuñ dekhā
apne bhagvān ke charnoñ meñ dukhī ho jaise
tujh se mil kar bhī udāsī nahīñ jaatī dil kī
tū nahīñ aur koī merī kamī ho jaise
Top Urdushayar.com