dil ke āñgan meñ tirī yaad kā taarā chamkā
merī be-nūr sī āñkhoñ meñ ujālā chamkā
shaam ke saath ye dil Duub rahā thā lekin
yak-ba-yak jhiil ke us paar kinārā chamkā
har galī shahr kī phūloñ se sajī mere liye
har darīche meñ koī chāñd sā chehra chamkā
ġham ke parde meñ ḳhushī bhī to chhipī hotī hai
ḳhush huā maiñ jo mire paañv meñ chhālā chamkā
kitne tāroñ ne lahū nazr kiyā hai apnā
tab kahīñ raat ke siine se saverā chamkā
us imārat kī chamak yuuñ rahī do-pal 'anzar'
dhuup meñ jaise koī barf kā TukḌā chamkā