jis kī ḳhātir maiñ ne duniyā kī taraf dekhā na thā
vo mujhe yuuñ chhoḌ jā.egā kabhī sochā na thā
us ke aañsū hī batāte the na ab lauTegā vo
is se pahle to bichhaḌte vaqt yuuñ rotā na thā
rah gayā tanhā maiñ apne dostoñ kī bhiiḌ meñ
aur hamdam vo banā jis se koī rishta na thā
qahqahoñ kī dhuup meñ baiThe the mere saath sab
āñsuoñ kī bārishoñ meñ par koī bhīgā na thā
ashk palkoñ pe bichhaḌ kar apnī qīmat kho gayā
ye sitāra qīmtī thā jab talak TuuTā na thā
marmarīñ gumbad pe ruktī thī har ik pyāsī nazar
par kasī ne maqbare meñ ġham chhupā dekhā na thā