jo hausla ho to halkī hai dopahar kī dhuup
tunak-mizājoñ ko lagtī hai yuuñ qamar kī dhuup
mire junūn-e-qadam ne baḌā hī kaam kiyā
jo gard-e-rāh baḌhī kam huī safar kī dhuup
safā-e-shīsha-e-āriz pe khul ga.ī hai shafaq
jo un ke ruḳh pe paḌī hai mirī nazar kī dhuup
shab-e-visāl kī ye shaam bhī hai rashk-e-sahar
mahak mahak ke saraktī hai bām-o-dar kī dhuup
bujhī to gauhar-e-mizhgān-e-yār meñ chamkī
ḳhushā-nasīb mirī umr-e-muḳhtasar kī dhuup
abhī se shikva-e-hiddat abhī tapish kā gilā
abhī to tere muqābil huī sahar kī dhuup
'zahīr' terī jabīñ kyuuñ araq araq hai abhī
abhī to raah meñ baaqī hai dopahar kī dhuup