be-barg-o-bār raah meñ sūkhe daraḳht the
manzil tah-e-qadam huī ham tez-baḳht the
hamle chahār samt se ham par hue magar
andar se vaar jitne hue zyāda saḳht the
the peḌ par to mujh ko bahut ḳhushnumā lage
toḌe to jitne phal the kasīle karaḳht the
so.e to yaad qaus-e-quzah meñ simaT ga.ī
jaage to jitne rañg the vo laḳht laḳht the
sar to chhupā.eñ koī kirā.e kī chhat mile
yuuñ is qadam kī zad meñ kabhī tāj-o-taḳht the