har gul-e-tāza hamāre haath par bai.at kare
us kī zulfoñ tak pahuñchne ke liye minnat kare
dil bachā.e yā sarāhe ātish-e-ruḳhsār ko
jis kā ghar jaltā ho vo sho.aloñ kī kyā mid.hat kare
aam ke phūloñ ko ḳhud hī jhaaḌ de aur is ke ba.ad
be-samar shāḳhoñ se āvāra havā hujjat kare
shahr vāloñ ko bhī hājat hai anājoñ kī magar
ḳhush-libāsī mausam-e-barsāt par la.anat kare
yuuñ bahāne se chhupā luuñ apne ashkoñ ko magar
aañkh kī surḳhī dil-e-pur-dard kī ġhībat kare
ḳhuun ke do chaar qatre dil meñ haiñ baaqī 'zahīr'
dashna-e-mizhgāñ se kah do ik zarā zahmat kare