Zaheer Siddiqui

sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

Zaheer Siddiqui

sūkhe hue pattoñ meñ āvāz kī ḳhushbū hai
alfāz ke sahrā meñ taḳh.īl kā aahū hai
jaate hue sūraj kī ik tirchhī nazar hī thī
tab sharm kā sindūr thā ab hijr kā gesū hai
mas.hūr fazā kyuuñ hai majbūr sabā kyuuñ hai
rañgoñ ke hisāroñ meñ naġhmāt kā jaadū hai
maujoñ se ulajhnā kyā tūfān se guzarnā kyā
har Dūbne vaale ko ehsās-e-lab-e-jū hai
is daur-e-ḳhirad meñ bhī ai kaash ye mumkin ho
tū soche ki bas maiñ huuñ maiñ samjhūñ ki bas tū hai
kab aañkh jhapak jaa.e tasvīr badal jaa.e
har lamha subuk-rau hai har jalva tunuk-ḳhū hai
bāzār-e-tamannā kī har chiiz hī nāzuk hai
ajnās-e-ġham-e-dil haiñ palkoñ kī tarāzū hai
Top Urdushayar.com