dard to zaḳhm kī paTTī ke haTāne se uThā
aur kuchh aur bhī marham ke lagāne se uThā
us ke alfāz-e-tasallī ne rulāyā mujh ko
kuchh ziyāda hī dhuāñ aag bujhāne se uThā
ahd-e-māzī bhī to be-dāġh nahīñ kyuuñ kahiye
pāsdārī kā chalan aaj zamāne se uThā
vaj.h mumkin hai koī aur ho maiñ ye samjhā
vo tirī bazm meñ shāyad mire aane se uThā
zulf-e-zholīda to zebā.ish-e-ruḳhsār huī
mas.ala saarā faqat ik tire shāne se uThā
apnī pā-mardī pe vo shaḳhs bhī nāzāñ hai 'zahīr'
jo girāne se girā aur uThāne se uThā