dūsrī bātoñ meñ ham ko ho gayā ghāTā bahut
varna fikr-e-sher ko do vaqt kā aaTā bahut
kā.enāt aur zaat meñ kuchh chal rahī hai aaj kal
jab se andar shor hai bāhar hai sannāTā bahut
aarzū kā shor barpā hijr kī rātoñ meñ thā
vasl kī shab to huā jaatā hai sannāTā bahut
ham se to ik sher sun kar falsafī chup ho gayā
lekin us ne be-zabāñ naqqād ko chāTā bahut
dil kī bāteñ dūsroñ se mat kaho luT jāoge
aaj kal iz.hār ke dhandhe meñ hai ghāTā bahut