garche bādal paanī barsātā huā ghar ghar phirā
phir bhī bārish kī duā kartā rahā ik sar-phirā
ek ummī ko milī apne hī dil meñ kā.enāt
aur maiñ aalim talāsh-e-zāt meñ dar dar phirā
ham zamāne se phire ye to bajā hai sāhibo
us ko to laao jo ham se āshnā ho kar phirā
us kī ḳhush-fahmī ne kal bas maar hī Daalā hameñ
tujh ko dekhā aur darvāze se chāra-gar phirā
aab vo aa.ī jo chehre par adū ke ba.ad-e-vasl
aur paanī vo jo merī ārzūoñ par phirā