Amardeep Singh

nashat-e-dard ka dariya utarne wala hai

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
nashāt-e-dard kā dariyā utarne vaalā hai
maiñ is se aur vo mujh se ubharne vaalā hai
maiñ us kī narm nigāhī se ho gayā māyūs
vo merī sāda-dilī se mukarne vaalā hai
vo mere ishq meñ dīvāna-vār phirne lage
ye mo.ajiza to faqat farz karne vaalā hai
mire ḳhayāl kī parvāz se jo vāqif hai
vo āshnā hī mire par katarne vaalā hai
abhī abhī mire kuchh dost aane vaale haiñ
maiñ sochtā thā har ik zaḳhm bharne vaalā hai
fasīl-e-jism pe kuchh naqsh chhoḌ jā.egā
jo hādisa mire dil par guzarne vaalā hai
bas is ḳhayāl meñ bigḌā rahā maiñ barsoñ tak
ab ek din meñ koī kyā sudharne vaalā hai
vo ban ke ziist mire paas aa gayā hai 'amar'
ye vaqt mere liye ain marne vaalā hai
Top Urdushayar.com