chhoḌiye baaqī bhī kyā rakkhā hai un ke qahr meñ
jaan durveshoñ ko pyārī hai hamāre shahr meñ
dekhiye kyā hashr hotā hai hamārā dahr meñ
shahryārī kī tamannā aur tere shahr meñ
dekhne vaale ko saarā hī samundar chāhiye
sochne vaalā samundar soch le ik lahr meñ
dekhiye tāsīr ḳhālī zahr meñ hotī nahīñ
zindagī sūkhī milā kar khā.igā zahr meñ
un se yuuñ tashbīh detā huuñ ki vo bhī duur haiñ
varna kyā miltā hai tujh meñ aur maah o mahr meñ
tañgī-e-hai.at se Takrātā huā josh-e-mavād
shā.erī kā lutf aa jaatā hai chhoTī bahr meñ