un ko ye shikāyat hai ki ham kuchh nahīñ kahte
apnī to ye aadat hai ki ham kuchh nahīñ kahte
majbūr bahut kartā hai ye dil to zabāñ ko
kuchh aisī hī hālat hai ki ham kuchh nahīñ kahte
kahne ko bahut kuchh thā agar kahne pe aate
duniyā kī ināyat hai ki ham kuchh nahīñ kahte
kuchh kahne pe tūfān uThā letī hai duniyā
ab is pe qayāmat hai ki ham kuchh nahīñ kahte