Shuja Khaavar

chalo ye to hadsa ho gaya ki wo saeban nahin raha

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
chalo ye to hādsa ho gayā ki vo sā.ebān nahīñ rahā
zarā ye bhī soch lo ek din agar āsmān nahīñ rahā
ye batā ki kaun sī jañg meñ maiñ lahūluhān nahīñ rahā
magar aaj bhī tire shahr meñ koī mujh ko maan nahīñ rahā
ye nahīñ ki merī zamīn par koī āsamān nahīñ rahā
magar āsmān kabhī mire tire darmiyān nahīñ rahā
shab-e-hijr ne havas aur ishq ke saare farq miTā diye
koī chārpā.ī chaTaḳh ga.ī to kisī meñ baan nahīñ rahā
sabhī zindagī pe farefta koī maut par nahīñ shefta
sabhī sūd-ḳhor to ho ga.e haiñ koī paThān nahīñ rahā
na laboñ pe ġham kī hikāyateñ na vo be-ruḳhī kī shikāyateñ
ye itaab hai shab-e-vasl kā ki maiñ ḳhush-bayān nahīñ rahā
isī be-ruḳhī meñ hazār ruḳh haiñ purāne rishte ke sāhibo
koī kam nahīñ hai ki jaan kar bhī vo mujh ko jaan nahīñ rahā
Top Urdushayar.com